nazar jhuka ke kuen mein wo jhank le na kahin
nazar jhukā ke kueñ meñ vo jhāñk le na kahīñ
ḳhud apne 'aks pe pāgal hai mar-miTe na kahīñ
jise sahārā diye tum khaḌe ho āñdhī meñ
tumhāre sar pe hī dīvār vo gire na kahīñ
har ek lamha thā Dar pīchhe chhūT jaane kā
jo nikle vaqt ke hamrāh to ruke na kahīñ
jo shab ke saa.e meñ mahfil jamā.e baiThe the
jab aa.ī shab to vahī shahr meñ mile na kahīñ
ḳhulūs-o-mehr-o-vafā kā nagar maiñ dekh aaya
'sabā' vo dost purāne mujhe mile na kahīñ
nazar jhuka ke kuen mein wo jhank le na kahin
KHud apne 'aks pe pagal hai mar-miTe na kahin
jise sahaara diye tum khaDe ho aandhi mein
tumhaare sar pe hi diwar wo gire na kahin
har ek lamha tha Dar pichhe chhuT jaane ka
jo nikle waqt ke hamrah to ruke na kahin
jo shab ke sae mein mahfil jamae baiThe the
jab aai shab to wahi shahr mein mile na kahin
KHulus-o-mehr-o-wafa ka nagar main dekh aaya
'saba' wo dost purane mujhe mile na kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.