nazar jhuka ke nazar se gira gae mujhko
nazar jhukā ke nazar se girā ga.e mujh ko
maiñ aa.ina thā haqīqat dikhā ga.e mujh ko
maiñ be-gunāhī kā apnī subūt kyā detā
vo saarī ġhalatiyāñ merī ginā ga.e mujh ko
bichhaḌte vaqt añgūThī ko de ga.e vāpas
vo jaate jaate bhī kitnā rulā ga.e mujh ko
sitam kiye hai mire saath is qadar 'āqib'
maiñ mom thā vo to patthar banā ga.e mujh ko
nazar jhuka ke nazar se gira gae mujh ko
main aaina tha haqiqat dikha gae mujh ko
main be-gunahi ka apni subut kya deta
wo sari ghalatiyan meri gina gae mujh ko
bichhaDte waqt anguThi ko de gae wapas
wo jate jate bhi kitna rula gae mujh ko
sitam kiye hai mere sath is qadar 'aqib'
main mom tha wo to patthar bana gae mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.