nazar jhuki hai ye sar tumhaara agar jhuka hai
nazar jhuki hai ye sar tumhaara agar jhuka hai
Khaleel Husain Balooch
MORE BYKhaleel Husain Balooch
nazar jhukī hai ye sar tumhārā agar jhukā hai
nazar se girne ke baad koī kahāñ uThā hai
yaqīñ nahīñ gar laboñ ko izn-e-kalām de ab
tumhāre hoñToñ pe naam merā kahīñ rukā hai
asīr-zāde sabhī qafas ke himāyatī haiñ
ġhulām-zāde raheñge āḳhir yahī sazā hai
ḳhudārā tohmat lagā nahīñ maiñ vahāñ nahīñ thā
jahāñ qabīla tirī anāoñ kā jā luTā hai
duā ke pardoñ meñ dard ginñe lagā to dekhā
ki dard-e-ishqāñ har ek dukh meñ chhupā huā hai
bhalā maiñ dāġh-e-mafāriqat kī misāl kyā duuñ
ye daaġh jis ko lagā vo suulī chaḌhā diyā hai
kuchal hī Daalā hai dard-e-hijrāñ kī āhaToñ ne
mire ḳhayāloñ ne vasl-lamha agar bunā hai
ġhazal gavāh hai koī nahīñ hai tumhārā saanī
'ḳhalīl' terā suḳhan taḳhayyul se māvarā hai
nazar jhuki hai ye sar tumhaara agar jhuka hai
nazar se girne ke baad koi kahan uTha hai
yaqin nahin gar labon ko izn-e-kalam de ab
tumhaare honTon pe nam mera kahin ruka hai
asir-zade sabhi qafas ke himayati hain
ghulam-zade rahenge aaKHir yahi saza hai
KHudara tohmat laga nahin main wahan nahin tha
jahan qabila teri anaon ka ja luTa hai
dua ke pardon mein dard ginne laga to dekha
ki dard-e-ishqan har ek dukh mein chhupa hua hai
bhala main dagh-e-mafariqat ki misal kya dun
ye dagh jis ko laga wo suli chaDha diya hai
kuchal hi Dala hai dard-e-hijran ki aahaTon ne
mere KHayalon ne wasl-lamha agar buna hai
ghazal gawah hai koi nahin hai tumhaara sani
'KHalil' tera suKHan taKHayyul se mawara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.