nazar ka apni nazariya badal ke dekh zara
nazar kā apnī nazariya badal ke dekh zarā
purānī soch se aage nikal ke dekh zarā
ḳhudā kā 'aks har ik shaḳhs meñ dikhegā tujhe
ḳhudī ke jaal se bāhar nikal ke dekh zarā
tujhe har aadmī tujh se haqīr dikhtā hai
tū apne chashme kā number badal ke dekh zarā
mirā mazāq uḌāne se pahle merī tarah
pahan ke paañv meñ zanjīr chal ke dekh zarā
tū sirf 'aql kā hī ai bashar ġhulām na ban
kabhī to dil ke bhī kahne pe chal ke dekh zarā
lagā chukā hai bahut inqalāb ke nā're
ab ird-gird hī apnā badal ke dekh zarā
tujhe lagegā tire dil kī tarjumānī hai
tū paḌh ke she'r 'sadā' kī ġhazal ke dekh zarā
nazar ka apni nazariya badal ke dekh zara
purani soch se aage nikal ke dekh zara
KHuda ka 'aks har ek shaKHs mein dikhega tujhe
KHudi ke jal se bahar nikal ke dekh zara
tujhe har aadmi tujh se haqir dikhta hai
tu apne chashme ka number badal ke dekh zara
mera mazaq uDane se pahle meri tarah
pahan ke panw mein zanjir chal ke dekh zara
tu sirf 'aql ka hi ai bashar ghulam na ban
kabhi to dil ke bhi kahne pe chal ke dekh zara
laga chuka hai bahut inqalab ke na're
ab ird-gird hi apna badal ke dekh zara
tujhe lagega tere dil ki tarjumani hai
tu paDh ke she'r 'sada' ki ghazal ke dekh zara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.