nazar ka ye eajaz hum dekhte hain
nazar kā ye e.ajāz ham dekhte haiñ
har ik samt vo hī sanam dekhte haiñ
idhar aate un ke qadam dekhte haiñ
sitam hai ki hai ye karam dekhte haiñ
judā dekhte haiñ zamīñ āsmāñ se
ḳhudā kā judā ye karam dekhte haiñ
na duniyā rahegī na ham tum hī hoñge
abas ek duuje ko ham dekhte haiñ
adāvat kī buniyād hī rashk par hai
adū ḳhvāb meñ ḳhud ko ham dekhte haiñ
bahut milne se aib dikhte haiñ kam-kam
bahut dekhte haiñ jo kam dekhte haiñ
kisī ne na dekhā jo zāhir thā sab par
jahāñ meñ sab apne bharam dekhte haiñ
burā lag gayā hai mirā sach hī itnā
tire jhuuT ko log kam dekhte haiñ
nahīñ Tas se mas hote dekhoge ham ko
raqībo tumhārā bhī dam dekhte haiñ
nazar ka ye eajaz hum dekhte hain
har ek samt wo hi sanam dekhte hain
idhar aate un ke qadam dekhte hain
sitam hai ki hai ye karam dekhte hain
juda dekhte hain zamin aasman se
KHuda ka juda ye karam dekhte hain
na duniya rahegi na hum tum hi honge
abas ek duje ko hum dekhte hain
adawat ki buniyaad hi rashk par hai
adu KHwab mein KHud ko hum dekhte hain
bahut milne se aib dikhte hain kam-kam
bahut dekhte hain jo kam dekhte hain
kisi ne na dekha jo zahir tha sab par
jahan mein sab apne bharam dekhte hain
bura lag gaya hai mera sach hi itna
tere jhuT ko log kam dekhte hain
nahin Tas se mas hote dekhoge hum ko
raqibo tumhaara bhi dam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.