nazar ka zaiqa mahnga paDega
nazar kā zā.iqa mahñgā paḌegā
tumheñ ye mai-kada mahñgā paḌegā
mohabbat se milegā muft meñ hī
ḳharīdo mat ḳhudā mahñgā paḌegā
charāġhoñ se tumhārī dostī hai
havā se rābta mahñgā paḌegā
havā meñ ḳhuub uḌte phir rahe ho
zamīñ se fāsla mahñgā paḌegā
nazriya to hamārā bhī vahī hai
tumhārā zāviya mahñgā paḌegā
muḳhālif ho na jaa.e ye zamāna
vafā par tabsira mahñgā paḌegā
zarūrī hai zarā sī bevafā.ī
vafā kā falsafa mahñgā paḌegā
mohabbat kā safar jokhim bharā hai
'kiran' ye rāsta mahñgā paḌegā
nazar ka zaiqa mahnga paDega
tumhein ye mai-kada mahnga paDega
mohabbat se milega muft mein hi
KHarido mat KHuda mahnga paDega
charaghon se tumhaari dosti hai
hawa se rabta mahnga paDega
hawa mein KHub uDte phir rahe ho
zamin se fasla mahnga paDega
nazriya to hamara bhi wahi hai
tumhaara zawiya mahnga paDega
muKHalif ho na jae ye zamana
wafa par tabsira mahnga paDega
zaruri hai zara si bewafai
wafa ka falsafa mahnga paDega
mohabbat ka safar jokhim bhara hai
'kiran' ye rasta mahnga paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.