nazar kar tez hai taqdīr miTTī kī ki patthar kī
butoñ ko dekh haiñ tasvīr miTTī kī ki patthar kī
kiyā tū ne butoñ ko sajda aadam ko farishtoñ ne
barahman hai sivā tauqīr miTTī kī ki patthar kī
maiñ putlā saḳht-jānī kā huuñ yā gard-e-kudūrat kā
nahīñ ma.alūm huuñ tasvīr miTTī kī ki patthar kī
ġhamoñ par ḳhaak Dāloñ maiñ ki rokūñ josh-e-vahshat ko
taraddud hai karūñ tadbīr miTTī kī ki patthar kī
nazar kar tez hai taqdir miTTi ki ki patthar ki
buton ko dekh hain taswir miTTi ki ki patthar ki
kiya tu ne buton ko sajda aadam ko farishton ne
barahman hai siwa tauqir miTTi ki ki patthar ki
main putla saKHt-jaani ka hun ya gard-e-kudurat ka
nahin malum hun taswir miTTi ki ki patthar ki
ghamon par KHak Dalon main ki rokun josh-e-wahshat ko
taraddud hai karun tadbir miTTi ki ki patthar ki
Source :
- Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-156 page-136)
- Author : Piyare Sahab Rasheed
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.