nazar ke dasht mein zarra talash karta hai
nazar ke dasht meñ zarra talāsh kartā hai
vo aql-mand hai hiirā talāsh kartā hai
bharosa jis ko nahīñ ḳhud hī apne baazū par
muvāfaqat kā vo halqa talāsh kartā hai
bujhā na pā.egā apnī vo tishnagī hargiz
sarāb-e-dasht meñ dariyā talāsh kartā hai
fareb khātā huuñ maiñ jaan jaan kar aksar
nayā nayā vo bahāna talāsh kartā hai
lakīreñ paḌhtā hai hāthoñ kī aur ulajhtā hai
hatheliyoñ meñ ḳhazāna talāsh kartā hai
jo zahr us ne pilāyā thā ruuh ko apnī
ab us se bachne kā nusḳha talāsh kartā hai
baḌā ajiib hai vo shaḳhs apnī hastī meñ
jo kho gayā hai vo lamha talāsh kartā hai
na niiñd aatī hai us ko na jāgtā hai kabhī
na jaane kaun sī duniyā talāsh kartā hai
jo shahr āhanī dīvār ban gayā 'ghā.il'
vahāñ vo paanī kā chashma talāsh kartā hai
nazar ke dasht mein zarra talash karta hai
wo aql-mand hai hira talash karta hai
bharosa jis ko nahin KHud hi apne bazu par
muwafaqat ka wo halqa talash karta hai
bujha na paega apni wo tishnagi hargiz
sarab-e-dasht mein dariya talash karta hai
fareb khata hun main jaan jaan kar aksar
naya naya wo bahana talash karta hai
lakiren paDhta hai hathon ki aur ulajhta hai
hatheliyon mein KHazana talash karta hai
jo zahr us ne pilaya tha ruh ko apni
ab us se bachne ka nusKHa talash karta hai
baDa ajib hai wo shaKHs apni hasti mein
jo kho gaya hai wo lamha talash karta hai
na nind aati hai us ko na jagta hai kabhi
na jaane kaun si duniya talash karta hai
jo shahr aahani diwar ban gaya 'ghail'
wahan wo pani ka chashma talash karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.