nazar ke surKH Dore dil mein utre
nazar ke surḳh Dore dil meñ utre
musāfir dāman-e-sāhil meñ utre
fazāoñ meñ uḌāneñ bharne vaale
patañge gosha-e-mahfil meñ utre
khanakte nuqra.ī sikkoñ ke taa.ir
tilā.ī kāsa-e-sā.il meñ utre
ka.ī ḳhanjar nigāh-e-ḳhishmagīñ ke
ba-yak lamha dil-e-bismil meñ utre
kafan-bar-dosh the ahl-e-mohabbat
baqā kī jāvedāñ manzil meñ utre
na bhūle ahd-e-hāzir ke taqāze
ġhazal jab fikr kī mahmil meñ utre
'sabā' ke saath rahmat ke farishte
achānak kūcha-e-qātil meñ utre
nazar ke surKH Dore dil mein utre
musafir daman-e-sahil mein utre
fazaon mein uDanen bharne wale
patange gosha-e-mahfil mein utre
khanakte nuqrai sikkon ke tair
tilai kasa-e-sail mein utre
kai KHanjar nigah-e-KHishmagin ke
ba-yak lamha dil-e-bismil mein utre
kafan-bar-dosh the ahl-e-mohabbat
baqa ki jawedan manzil mein utre
na bhule ahd-e-hazir ke taqaze
ghazal jab fikr ki mahmil mein utre
'saba' ke sath rahmat ke farishte
achanak kucha-e-qatil mein utre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.