nazar ke zawiye aksar mila ke dekhe hain
nazar ke zawiye aksar mila ke dekhe hain
Rana Khalid Mahmood Qaiser
MORE BYRana Khalid Mahmood Qaiser
nazar ke zāviye aksar milā ke dekhe haiñ
unheñ bhī husn ke jalve dikhā ke dekhe haiñ
jo aag tum ne lagā.ī vo bujh nahīñ saktī
ġham-e-firāq meñ aañsū bahā ke dekhe haiñ
hamārā 'ishq ġham-e-dil kā aa.ina niklā
nigāh-e-husn se parde uThā ke dekhe haiñ
hazār baar raqīboñ ne rah-guzar meñ tirī
nuqūsh-e-pā-e-mohabbat miTā ke dekhe haiñ
kuchh is tarah se mohabbat kī baat karte ho
na jaane kitne hī dil meñ basā ke dekhe haiñ
hamārī ḳhvāb-e-girānī to kuchh nahīñ hotī
hasīn ḳhvāb bhī ḳhud ko jagā ke dekhe haiñ
kisī kī rāh-e-mohabbat meñ aaj tak 'qaisar'
charāġh-hā-e-tamanna jalā ke dekhe haiñ
nazar ke zawiye aksar mila ke dekhe hain
unhen bhi husn ke jalwe dikha ke dekhe hain
jo aag tum ne lagai wo bujh nahin sakti
gham-e-firaq mein aansu baha ke dekhe hain
hamara 'ishq gham-e-dil ka aaina nikla
nigah-e-husn se parde uTha ke dekhe hain
hazar bar raqibon ne rah-guzar mein teri
nuqush-e-pa-e-mohabbat miTa ke dekhe hain
kuchh is tarah se mohabbat ki baat karte ho
na jaane kitne hi dil mein basa ke dekhe hain
hamari KHwab-e-girani to kuchh nahin hoti
hasin KHwab bhi KHud ko jaga ke dekhe hain
kisi ki rah-e-mohabbat mein aaj tak 'qaisar'
charagh-ha-e-tamanna jala ke dekhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.