nazar ki kya kahen ab to jigar bhi ho gae patthar
nazar ki kya kahen ab to jigar bhi ho gae patthar
Shubha Shukla Mishra adhar
MORE BYShubha Shukla Mishra adhar
nazar kī kyā kaheñ ab to jigar bhī ho ga.e patthar
kahāñ bū-e-vafā khoī ki ghar bhī ho ga.e patthar
ḳhudā tab bebasī meñ shab sahar royā yaqīnan hai
guloñ se khilkhilāte jab shajar bhī ho ga.e patthar
baḌī ummīd le kar maiñ chalī aa.ī suno pyāre
magar thī kyā ḳhabar dīvār-o-dar bhī ho ga.e patthar
mulamma.a vaqt kā chaḌhtā gayā kyuuñ is qadar bolo
ki patthar ko hañsā kar bā-hunar bhī ho ga.e patthar
bharā hai zahr dil meñ kis ne tere bol de itnā
asar aisā mohabbat ke nagar bhī ho ga.e patthar
havā jhoñkā nahīñ laa.ī kabhī kyā merī yādoñ kā
kahāñ hai dafn rauzan ishq tar bhī ho ga.e patthar
nadī kā saath dene kī taḌap paalī samundar ne
nibhānā khel samjhā to mukhar bhī ho ga.e patthar
yaqīñ karnā huā mushkil qasam TuuTe sitāre kī
vahī tum bin yahī shams-o-qamar bhī ho ga.e patthar
sadā hī naaz thā tujh pe mujhe ai dost merī jaañ
kiyā kyuuñ vaar dil pe hī 'adhar' bhī ho ga.e patthar
nazar ki kya kahen ab to jigar bhi ho gae patthar
kahan bu-e-wafa khoi ki ghar bhi ho gae patthar
KHuda tab bebasi mein shab sahar roya yaqinan hai
gulon se khilkhilate jab shajar bhi ho gae patthar
baDi ummid le kar main chali aai suno pyare
magar thi kya KHabar diwar-o-dar bhi ho gae patthar
mulamma waqt ka chaDhta gaya kyun is qadar bolo
ki patthar ko hansa kar ba-hunar bhi ho gae patthar
bhara hai zahr dil mein kis ne tere bol de itna
asar aisa mohabbat ke nagar bhi ho gae patthar
hawa jhonka nahin lai kabhi kya meri yaadon ka
kahan hai dafn rauzan ishq tar bhi ho gae patthar
nadi ka sath dene ki taDap pali samundar ne
nibhana khel samjha to mukhar bhi ho gae patthar
yaqin karna hua mushkil qasam TuTe sitare ki
wahi tum bin yahi shams-o-qamar bhi ho gae patthar
sada hi naz tha tujh pe mujhe ai dost meri jaan
kiya kyun war dil pe hi 'adhar' bhi ho gae patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.