nazar kisi se mili hai shayad
nazar kisī se milī hai shāyad
tabhī ġhazal ik huī hai shāyad
maiñ jis galī meñ bhaTak gayā thā
yahī vo yaaro galī hai shāyad
falak se utre haiñ chāñd taare
phir un kī mahfil sajī hai shāyad
havā kī ḳhushbū batā rahī hai
ye un ko chhūkar chalī hai shāyad
maiñ ġhair ke aib gin rahā huuñ
mire hī andar kamī hai shāyad
dhuāñ badan se uThā hai 'ahmad'
lo aag dil meñ lagī hai shāyad
nazar kisi se mili hai shayad
tabhi ghazal ek hui hai shayad
main jis gali mein bhaTak gaya tha
yahi wo yaro gali hai shayad
falak se utre hain chand tare
phir un ki mahfil saji hai shayad
hawa ki KHushbu bata rahi hai
ye un ko chhukar chali hai shayad
main ghair ke aib gin raha hun
mere hi andar kami hai shayad
dhuan badan se uTha hai 'ahmad'
lo aag dil mein lagi hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.