Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar ko KHirgi aankhon ko KHwab de ke gaya

Shareef Ahmad Qureshi

nazar ko KHirgi aankhon ko KHwab de ke gaya

Shareef Ahmad Qureshi

MORE BYShareef Ahmad Qureshi

    nazar ko ḳhīrgī āñkhoñ ko ḳhvāb de ke gayā

    vo umr bhar ke liye iztirāb de ke gayā

    usī dariyā-dilī ke the chaar charche

    jo tishna-kāmoñ ko mauj-e-sarāb de ke gayā

    phir us ke aane talak dāstān likhnā hai

    hurūf le gayā ḳhālī kitāb de ke gayā

    har ek harf jo samjho to ek baab lage

    vo aisī besh-bahā ik kitāb de ke gayā

    'sharīf' kaun shai kamī thī us ke yahāñ

    karam ho ki sitam be-hisāb de ke gayā

    nazar ko KHirgi aankhon ko KHwab de ke gaya

    wo umr bhar ke liye iztirab de ke gaya

    usi ki dariya-dili ke the chaar su charche

    jo tishna-kaamon ko mauj-e-sarab de ke gaya

    phir us ke aane talak dastan likhna hai

    huruf le gaya KHali kitab de ke gaya

    har ek harf jo samjho to ek bab lage

    wo aisi besh-baha ek kitab de ke gaya

    'sharif' kaun si shai ki kami thi us ke yahan

    karam ho ya ki sitam be-hisab de ke gaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now