nazar ko waqf-e-gham-e-intizar kar na sake
nazar ko vaqf-e-ġham-e-intizār kar na sake
ḳhud apnī zaat pe ham e.atibār kar na sake
nazar uThī to guloñ tak hī rah ga.ī mahdūd
nazar ko mā.il-e-rang-e-bahār kar na sake
fareb-e-husn se is ko na kyoñ karūñ ta.abīr
zabāñ se kahte rahe dil se pyaar kar na sake
qafas meñ aaya to mausam bahār kā lekin
nigāh-e-shauq ko vaqf-e-bahār kar na sake
harīm-e-nāz ke parde uThe magar 'paikar'
junūñ ke maare hī ḳhud intizār kar na sake
nazar ko waqf-e-gham-e-intizar kar na sake
KHud apni zat pe hum eatibar kar na sake
nazar uThi to gulon tak hi rah gai mahdud
nazar ko mail-e-rang-e-bahaar kar na sake
fareb-e-husn se is ko na kyon karun tabir
zaban se kahte rahe dil se pyar kar na sake
qafas mein aaya to mausam bahaar ka lekin
nigah-e-shauq ko waqf-e-bahaar kar na sake
harim-e-naz ke parde uThe magar 'paikar'
junun ke mare hi KHud intizar kar na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.