nazar lauT kar dil mein aae to kya ho
nazar lauT kar dil meñ aa.e to kyā ho
jo dekhā hai dil meñ dikhā.e to kyā ho
nigāhoñ se guzrā huā hai jo manzar
vo dil se guzarne na paa.e to kyā ho
ḳhayāl aap hī vāqi'a ban gayā ho
yahī vāqi'a pesh aa.e to kyā ho
vo tasvīr jo muskurātī hai dil meñ
tasavvur ko āñkheñ dikhā.e to kyā ho
vahī jo samā.e na arz-o-samā meñ
mire dil meñ aa kar na jaa.e to kyā ho
azal se abad tak kabhī aañkh dil kī
na jhapke jhapakne na paa.e to kyā ho
vo dariyā ki maujeñ haiñ us kī do-'ālam
vo ik buuñd meñ Duub jaa.e to kyā ho
'zahīn' aap kī chashm-o-abrū ke qurbāñ
na samjhe ishāre kinā.e to kyā ho
nazar lauT kar dil mein aae to kya ho
jo dekha hai dil mein dikhae to kya ho
nigahon se guzra hua hai jo manzar
wo dil se guzarne na pae to kya ho
KHayal aap hi waqi'a ban gaya ho
yahi waqi'a pesh aae to kya ho
wo taswir jo muskuraati hai dil mein
tasawwur ko aankhen dikhae to kya ho
wahi jo samae na arz-o-sama mein
mere dil mein aa kar na jae to kya ho
azal se abad tak kabhi aankh dil ki
na jhapke jhapakne na pae to kya ho
wo dariya ki maujen hain us ki do-'alam
wo ek bund mein Dub jae to kya ho
'zahin' aap ki chashm-o-abru ke qurban
na samjhe ishaare kinae to kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.