nazar mein aa gai jab se janab ki surat
nazar meñ aa ga.ī jab se janāb kī sūrat
badal ga.ī dil-e-ḳhāna-ḳharāb kī sūrat
bharā huā hai ḳhum-e-dil mai-e-mohabbat se
tumhārī aañkh hai jām-e-sharāb kī sūrat
hamesha ek hī hālat nahīñ zamāna kī
hamārī ziist yahāñ hai habāb kī sūrat
lagī hai aag yahāñ tak kisī kī ulfat meñ
bane haiñ qalb-o-jigar bhī kabāb kī sūrat
na jā tū zāhid-e-nādān sū-e-mai-ḳhāna
bigaḌ na jaa.e kisī din janāb kī sūrat
hamāre ashk ne rang-e-hinā ko maat kiyā
bahe haiñ aañkh se aañsū shahāb kī sūrat
jalā diyā dil-e-mai-kash ko mere saaqī ne
jigar kabāb lahū se sharāb kī sūrat
ba-vaqt-e-naza.a 'qamar' aur lahad ke andar bhī
ho mere pesh-e-nazar bū-turāb kī sūrat
nazar mein aa gai jab se janab ki surat
badal gai dil-e-KHana-KHarab ki surat
bhara hua hai KHum-e-dil mai-e-mohabbat se
tumhaari aankh hai jam-e-sharab ki surat
hamesha ek hi haalat nahin zamana ki
hamari zist yahan hai habab ki surat
lagi hai aag yahan tak kisi ki ulfat mein
bane hain qalb-o-jigar bhi kabab ki surat
na ja tu zahid-e-nadan su-e-mai-KHana
bigaD na jae kisi din janab ki surat
hamare ashk ne rang-e-hina ko mat kiya
bahe hain aankh se aansu shahab ki surat
jala diya dil-e-mai-kash ko mere saqi ne
jigar kabab lahu se sharab ki surat
ba-waqt-e-naza 'qamar' aur lahad ke andar bhi
ho mere pesh-e-nazar bu-turab ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.