nazar mein Dhal ke ubharte hain dil ke afsane
nazar mein Dhal ke ubharte hain dil ke afsane
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
nazar meñ Dhal ke ubharte haiñ dil ke afsāne
ye aur baat hai duniyā nazar na pahchāne
vo bazm dekhī hai merī nigāh ne ki jahāñ
baġhair sham.a bhī jalte rahe haiñ parvāne
ye kyā bahār kā joban ye kyā nashāt kā rañg
fasurda mai-kade vaale udaas mai-ḳhāne
mire nadīm tirī chashm-e-iltifāt kī ḳhair
bigaḌ bigaḌ ke sañvarte ga.e haiñ afsāne
ye kis kī chashm-e-fusūñ-sāz kā karishma hai
ki TuuT kar bhī salāmat haiñ dil ke but-ḳhāne
nigāh-e-nāz meñ dil-sozī-e-niyāz kahāñ
ye āshnā-e-nazar haiñ diloñ ke begāne
nazar mein Dhal ke ubharte hain dil ke afsane
ye aur baat hai duniya nazar na pahchane
wo bazm dekhi hai meri nigah ne ki jahan
baghair shama bhi jalte rahe hain parwane
ye kya bahaar ka joban ye kya nashat ka rang
fasurda mai-kade wale udas mai-KHane
mere nadim teri chashm-e-iltifat ki KHair
bigaD bigaD ke sanwarte gae hain afsane
ye kis ki chashm-e-fusun-saz ka karishma hai
ki TuT kar bhi salamat hain dil ke but-KHane
nigah-e-naz mein dil-sozi-e-niyaz kahan
ye aashna-e-nazar hain dilon ke begane
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 207)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956)
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.