nazar mein ek bhi chehra nahin charaghon ka
nazar meñ ek bhī chehra nahīñ charāġhoñ kā
ġhubār hai mirī āñkhoñ meñ kin ujāloñ kā
chaTān hai tirā paikar to aañkh nam kyoñ hai
javāb DhūñDhtā rahtā huuñ in savāloñ kā
fazā meñ āñdhiyāñ is zor se chalī haiñ ki ab
parind bhuul ga.e rāsta uḌānoñ kā
hai aaj bhī mire pahlū meñ ik ajiib ḳhalish
ye iktisāb-e-karam hai tumhārī bāñhoñ kā
nazar mein ek bhi chehra nahin charaghon ka
ghubar hai meri aankhon mein kin ujalon ka
chaTan hai tera paikar to aankh nam kyon hai
jawab DhunDhta rahta hun in sawalon ka
faza mein aandhiyan is zor se chali hain ki ab
parind bhul gae rasta uDanon ka
hai aaj bhi mere pahlu mein ek ajib KHalish
ye iktisab-e-karam hai tumhaari banhon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.