nazar mein jazb shama-e-ruKH ka jalwa kar liya maine
nazar mein jazb shama-e-ruKH ka jalwa kar liya maine
Syed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
MORE BYSyed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
nazar meñ jazb sham.a-e-ruḳh kā jalva kar liyā maiñ ne
dil-e-tārīk meñ āḳhir ujālā kar liyā maiñ ne
vo yaad aa.e to ik goshe meñ chupke chupke ro ro kar
dil-e-ranjūr kā kuchh baar halkā kar liyā maiñ ne
kabhī jo but-parastī ke maze lene ko jī chāhā
tasavvur us but-e-kāfir-adā kā kar liyā maiñ ne
jo dil chāhā to mastāna-ḳhirāmī ke tasavvur se
jahān-e-ārzū meñ hashr barpā kar liyā maiñ ne
kisī ke āriz-e-nūrīñ ke jalve yaad kar kar ke
shab-e-ġham meñ añdhere kā sahārā kar liyā maiñ ne
hadeñ miT jaa.eñ taaki imtiyāz-e-kufr-o-īmāñ kī
jamāl-e-yār ko dānista sajda kar liyā maiñ ne
mujhe kyā fikr ab ranj-e-judā.ī kī 'anīs' āḳhir
jamāl-e-ham-nashīñ ko dil meñ paidā kar liyā maiñ ne
nazar mein jazb shama-e-ruKH ka jalwa kar liya main ne
dil-e-tarik mein aaKHir ujala kar liya main ne
wo yaad aae to ek goshe mein chupke chupke ro ro kar
dil-e-ranjur ka kuchh bar halka kar liya main ne
kabhi jo but-parasti ke maze lene ko ji chaha
tasawwur us but-e-kafir-ada ka kar liya main ne
jo dil chaha to mastana-KHirami ke tasawwur se
jahan-e-arzu mein hashr barpa kar liya main ne
kisi ke aariz-e-nurin ke jalwe yaad kar kar ke
shab-e-gham mein andhere ka sahaara kar liya main ne
haden miT jaen taki imtiyaz-e-kufr-o-iman ki
jamal-e-yar ko danista sajda kar liya main ne
mujhe kya fikr ab ranj-e-judai ki 'anis' aaKHir
jamal-e-ham-nashin ko dil mein paida kar liya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.