nazar mein kuchh na thi pahle kabhi tauqir miTTi ki
nazar meñ kuchh na thī pahle kabhī tauqīr miTTī kī
farishte dañg haiñ ab dekh ke taqdīr miTTī kī
hazāroñ ne.amateñ detī haiñ lekin zarb sah sah kar
ḳhudā ne bhī banā.ī hai ajab taqdīr miTTī kī
sunā.ī degī zālim tujh ko tab majbūr kī aaheñ
jakaḌ legī tire pairoñ ko jab zanjīr miTTī kī
ki jaise peḌ kī har shāḳh mujh se baat kartī hai
ki jaise dekhtā rahtā huuñ maiñ tāsīr miTTī kī
imārat koh-o-sahrā peḌ dariyā aadmī saare
zamīñ par basne vaale haiñ magar jāgīr miTTī kī
tirī puujā kareñge log ik din dekhnā 'ātish'
banā kar us ne rakkhī hai tirī tasvīr miTTī kī
nazar mein kuchh na thi pahle kabhi tauqir miTTi ki
farishte dang hain ab dekh ke taqdir miTTi ki
hazaron neamaten deti hain lekin zarb sah sah kar
KHuda ne bhi banai hai ajab taqdir miTTi ki
sunai degi zalim tujh ko tab majbur ki aahen
jakaD legi tere pairon ko jab zanjir miTTi ki
ki jaise peD ki har shaKH mujh se baat karti hai
ki jaise dekhta rahta hun main tasir miTTi ki
imarat koh-o-sahra peD dariya aadmi sare
zamin par basne wale hain magar jagir miTTi ki
teri puja karenge log ek din dekhna 'atish'
bana kar us ne rakkhi hai teri taswir miTTi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.