nazar mein loch na haijaan manzaron mein hai
nazar meñ loch na haijān manzaroñ meñ hai
urūh-e-sub.h abhī shab kī chādaroñ meñ hai
na soch tājvaroñ ka ma.aal kyā hogā
ye dekh tesha-ba-kaf kaun pattharoñ meñ hai
bhaḌak rahī haiñ kināroñ kī bastiyāñ ab tak
balā kī aag hamāre samundaroñ meñ hai
nigār-ḳhāna-e-ma.anī se sarsarī na guzar
lahū ka rañg bhī do-chār manzaroñ meñ hai
sukūt-e-sañg ko āsā.ish-e-bayāñ de de
ajab kamāl-e-hunar ā.īna-garoñ meñ hai
galī ke moḌ pe kis ne diyā jalāyā thā
usī key raushnī tārīk se gharoñ meñ hai
nigal na jaa.eñ use bhī ye kaj-kulāh 'urūj'
zarā sī aan jo baaqī suḳhnavaroñ meñ hai
nazar mein loch na haijaan manzaron mein hai
uruh-e-subh abhi shab ki chadaron mein hai
na soch tajwaron ka maal kya hoga
ye dekh tesha-ba-kaf kaun pattharon mein hai
bhaDak rahi hain kinaron ki bastiyan ab tak
bala ki aag hamare samundaron mein hai
nigar-KHana-e-mani se sarsari na guzar
lahu ka rang bhi do-chaar manzaron mein hai
sukut-e-sang ko aasaish-e-bayan de de
ajab kamal-e-hunar aaina-garon mein hai
gali ke moD pe kis ne diya jalaya tha
usi key raushni tarik se gharon mein hai
nigal na jaen use bhi ye kaj-kulah 'uruj'
zara si aan jo baqi suKHnawaron mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.