nazar mein nit-nai hairaniyan liye phiriye
nazar meñ nit-na.ī hairāniyāñ liye phiriye
saroñ pe roz nayā āsmāñ liye phiriye
ab is fazā kī kasāfat meñ kyuuñ izāfa ho
ġhubār-e-dil hai so dil meñ nihāñ liye phiriye
yahī bachā hai so ab ziist kī gavāhī meñ
yahī nishān-e-dil-e-be-nishāñ liye phiriye
qarār-e-jāñ to sar-e-kū-e-yār chhoḌ aa.e
matā-e-zīst hai lekin kahāñ liye phiriye
ajab hunar hai ki dānishvarī ke paikar meñ
kisī kā zehn kisī kī zabāñ liye phiriye
nazar mein nit-nai hairaniyan liye phiriye
saron pe roz naya aasman liye phiriye
ab is faza ki kasafat mein kyun izafa ho
ghubar-e-dil hai so dil mein nihan liye phiriye
yahi bacha hai so ab zist ki gawahi mein
yahi nishan-e-dil-e-be-nishan liye phiriye
qarar-e-jaan to sar-e-ku-e-yar chhoD aae
mata-e-zist hai lekin kahan liye phiriye
ajab hunar hai ki danishwari ke paikar mein
kisi ka zehn kisi ki zaban liye phiriye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.