nazar mein rahti hai aawaz mein pai nahin jati
nazar mein rahti hai aawaz mein pai nahin jati
Sayyad Safdar Hussain
MORE BYSayyad Safdar Hussain
nazar meñ rahtī hai āvāz meñ paa.ī nahīñ jaatī
tamanna vo hai jo alfāz meñ laa.ī nahīñ jaatī
tirī zulfoñ kā saudā jis ko chun le us kī ḳhush-baḳhtī
ye vo nāgin hai jo har dil pe lahrā.ī nahīñ jaatī
mohabbat mashrab-e-ahl-e-vafā meñ sar kī baazī hai
palak talvār ke saa.e meñ jhapkā.ī nahīñ jaatī
karishme aql ke phaile haiñ zarroñ se sitāroñ tak
magar phir bhī junūñ kī kār-farmā.ī nahīñ jaatī
sune duniyā tire qadmoñ kī aahaT dil kī dhaḌkan se
ye vo dhun hai ki jo har saaz par gaa.ī nahīñ jaatī
ḳhushā dard-e-mohabbat har ḳhalish jis kī hayāt-afzā
vo kaise dil haiñ jin se choT ye khaa.ī nahīñ jaatī
umīdeñ shauq ko jab tak na thoḌā sā sahārā deñ
jabīñ yuuñ hī kisī ke dar se Takrā.ī nahīñ jaatī
javānī vo hasīñ shai hai ki jā kar phir nahīñ aatī
ye vo dilkash kahānī hai jo dohrā.ī nahīñ jaatī
tasavvur munfasil hai aur basīrat sar-ba-zānū hai
tirī tasvīr meñ terī adā paa.ī nahīñ jaatī
haqīqat aap hī apne ko samjhā de to samjhā de
hamārī aap kī koshish se samjhā.ī nahīñ jaatī
tire furqat ke māroñ kī tasallī kis se mumkin hai
tabī.at ḳhud bahal jaatī hai bahlā.ī nahīñ jaatī
mohabbat dar-haqīqat ik ḳhudā kā raaz hai 'safdar'
ye vo gutthī hai jo mantiq se suljhā.ī nahīñ jaatī
nazar mein rahti hai aawaz mein pai nahin jati
tamanna wo hai jo alfaz mein lai nahin jati
teri zulfon ka sauda jis ko chun le us ki KHush-baKHti
ye wo nagin hai jo har dil pe lahrai nahin jati
mohabbat mashrab-e-ahl-e-wafa mein sar ki bazi hai
palak talwar ke sae mein jhapkai nahin jati
karishme aql ke phaile hain zarron se sitaron tak
magar phir bhi junun ki kar-farmai nahin jati
sune duniya tere qadmon ki aahaT dil ki dhaDkan se
ye wo dhun hai ki jo har saz par gai nahin jati
KHusha dard-e-mohabbat har KHalish jis ki hayat-afza
wo kaise dil hain jin se choT ye khai nahin jati
umiden shauq ko jab tak na thoDa sa sahaara den
jabin yun hi kisi ke dar se Takrai nahin jati
jawani wo hasin shai hai ki ja kar phir nahin aati
ye wo dilkash kahani hai jo dohrai nahin jati
tasawwur munfasil hai aur basirat sar-ba-zanu hai
teri taswir mein teri ada pai nahin jati
haqiqat aap hi apne ko samjha de to samjha de
hamari aap ki koshish se samjhai nahin jati
tere furqat ke maron ki tasalli kis se mumkin hai
tabiat KHud bahal jati hai bahlai nahin jati
mohabbat dar-haqiqat ek KHuda ka raaz hai 'safdar'
ye wo gutthi hai jo mantiq se suljhai nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.