nazar mein rang lahu mein surur bharta ja
nazar meñ rañg lahū meñ surūr bhartā jā
guzarne vaale mire dil se bhī guzartā jā
ik ek laash pe ruk kar darūd paḌh dil se
janāza-gāh-e-mohabbat pe bain kartā jā
ye rut palaT ke na aa.egī bāġh-e-hastī meñ
simaT rahī hai vo ḳhushbū so tū bikhartā jā
gul-e-ḳhayāl ko mahkā magar koī lamhe
kisī kalī meñ udāsī kā rañg bhartā jā
visāl-o-hijr meñ ḳhush rah har ek hālat se
mohabbatoñ meñ hamesha kamāl kartā jā
kahīñ tujhe bhī fanā rā.egāñ na kar Daale
tū is se pahle mirī zindagī meñ bartā jā
guzar rahā hai shab-e-intizār se 'jāved'
kisī muñDer pe taaza charāġh dhartā jā
nazar mein rang lahu mein surur bharta ja
guzarne wale mere dil se bhi guzarta ja
ek ek lash pe ruk kar darud paDh dil se
janaza-gah-e-mohabbat pe bain karta ja
ye rut palaT ke na aaegi bagh-e-hasti mein
simaT rahi hai wo KHushbu so tu bikharta ja
gul-e-KHayal ko mahka magar koi lamhe
kisi kali mein udasi ka rang bharta ja
visal-o-hijr mein KHush rah har ek haalat se
mohabbaton mein hamesha kamal karta ja
kahin tujhe bhi fana raegan na kar Dale
tu is se pahle meri zindagi mein barta ja
guzar raha hai shab-e-intizar se 'jawed'
kisi munDer pe taza charagh dharta ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.