nazar mein ru-e-zeba rah gaya hai
nazar meñ rū-e-zebā rah gayā hai
yahī apnā asāsa rah gayā hai
sabhī taslīm bai'at kar chuke haiñ
bas ik apnā qabīla rah gayā hai
munāfa' be-zamīrī khā ga.ī sab
anā ke ghar ḳhasāra rah gayā hai
mirā kirdār jis meñ thā mukammal
vahī qissa adhūrā rah gayā hai
kisī darvesh kī jannat hai shāyad
jo sāhil par gharauñdā rah gayā hai
badal kar pairahan sab pārsā haiñ
mirā kapḌā purānā rah gayā hai
maiñ thā 'unvān lekin tazkira ab
zamīma-dar-zamīma rah gayā hai
madārī jā chukā kartab dikhā kar
magar har-sū tamāshā rah gayā hai
junūñ kī parvarish dil kar chukā ab
faqat iz.hār karnā rah gayā hai
'nazīr' aurang-o-afsar sab kahānī
jo thā miTTī kā kamra rah gayā hai
nazar mein ru-e-zeba rah gaya hai
yahi apna asasa rah gaya hai
sabhi taslim bai'at kar chuke hain
bas ek apna qabila rah gaya hai
munafa' be-zamiri kha gai sab
ana ke ghar KHasara rah gaya hai
mera kirdar jis mein tha mukammal
wahi qissa adhura rah gaya hai
kisi darwesh ki jannat hai shayad
jo sahil par gharaunda rah gaya hai
badal kar pairahan sab parsa hain
mera kapDa purana rah gaya hai
main tha 'unwan lekin tazkira ab
zamima-dar-zamima rah gaya hai
madari ja chuka kartab dikha kar
magar har-su tamasha rah gaya hai
junun ki parwarish dil kar chuka ab
faqat izhaar karna rah gaya hai
'nazir' aurang-o-afsar sab kahani
jo tha miTTi ka kamra rah gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.