nazar mein tar be-mehri ka dukh hai
nazar meñ taar be-mehrī kā dukh hai
ajab sarshār be-mehrī kā dukh hai
hamāre zaḳhm taaza phuul haiñ aur
hamīñ ko baar be-mehrī kā dukh hai
ye tanhā.ī sunahrī qaid-ḳhāna
ye aks-e-zār be-mehrī kā dukh hai
hai us jānib junūñ-ḳhezī kā shohra
magar is paar be-mehrī kā dukh hai
tarab-nākī jo dil ko khal rahī hai
ye dil ko ḳhaar be-mehrī kā dukh hai
shanāsā.ī se ramz-e-āshiqī tak
baḌī bezār be-mehrī kā dukh hai
'duā' lā-haul paḌh is be-dilī par
sahelī yaar be-mehrī kā dukh hai
nazar mein tar be-mehri ka dukh hai
ajab sarshaar be-mehri ka dukh hai
hamare zaKHm taza phul hain aur
hamin ko bar be-mehri ka dukh hai
ye tanhai sunahri qaid-KHana
ye aks-e-zar be-mehri ka dukh hai
hai us jaanib junun-KHezi ka shohra
magar is par be-mehri ka dukh hai
tarab-naki jo dil ko khal rahi hai
ye dil ko KHar be-mehri ka dukh hai
shanasai se ramz-e-ashiqi tak
baDi bezar be-mehri ka dukh hai
'dua' la-haul paDh is be-dili par
saheli yar be-mehri ka dukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.