nazar mein unki jo kuchh be-ruKHi lage hai mujhe
nazar mein unki jo kuchh be-ruKHi lage hai mujhe
Sajid Sajni Lakhnawi
MORE BYSajid Sajni Lakhnawi
nazar meñ un kī jo kuchh be-ruḳhī lage hai mujhe
ye saarī saut kī kārīgarī lage hai mujhe
milā jo maañ se vahī saas se bhī pyaar milā
jo tab lagā thā vahī aaj bhī lage hai mujhe
vo roz jaate haiñ bāzār saath sautan ke
ye baat un kī bahut hī burī lage hai mujhe
ye ḳhat meñ munnī ke paapā ne aaj likkhā hai
jo tum nahīñ to ajab zindagī lage hai mujhe
milī kuchh aisī mohabbat har ek se 'sajnī'
yahāñ pe merā har ik mudda.ī lage hai mujhe
nazar mein un ki jo kuchh be-ruKHi lage hai mujhe
ye sari saut ki karigari lage hai mujhe
mila jo man se wahi sas se bhi pyar mila
jo tab laga tha wahi aaj bhi lage hai mujhe
wo roz jate hain bazar sath sautan ke
ye baat un ki bahut hi buri lage hai mujhe
ye KHat mein munni ke papa ne aaj likkha hai
jo tum nahin to ajab zindagi lage hai mujhe
mili kuchh aisi mohabbat har ek se 'sajni'
yahan pe mera har ek muddai lage hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.