nazar mein wo mast-e-shabab aa gaya
nazar meñ vo mast-e-shabāb aa gayā
koī hāsil-e-intiḳhāb aa gayā
jise dekh kar log hañsne lage
ik aisā bhī ḳhāna-ḳharāb aa gayā
sabā aa rahī hai mahaktī huī
mire ḳhat kā shāyad javāb aa gayā
yakāyak nazar us ne kyā pher lī
koī mujh pe jaise azaab aa gayā
chalo raah ke pech-o-ḳham dekh kar
ḳhudā rakkhe ahd-e-shabāb aa gayā
nazar mein wo mast-e-shabab aa gaya
koi hasil-e-intiKHab aa gaya
jise dekh kar log hansne lage
ek aisa bhi KHana-KHarab aa gaya
saba aa rahi hai mahakti hui
mere KHat ka shayad jawab aa gaya
yakayak nazar us ne kya pher li
koi mujh pe jaise azab aa gaya
chalo rah ke pech-o-KHam dekh kar
KHuda rakkhe ahd-e-shabab aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.