nazar mein zamana ki laya gaya hun
nazar meñ zamāna kī laayā gayā huuñ
maiñ sikka thā khoTā chalāyā gayā huuñ
rahī puure din merī āñkhoñ pe paTTī
magar rāt-bhar maiñ jagāyā gayā huuñ
ye kaise kahūñ saath mujh ko bhī rakh le
maiñ barsoñ baras āzmāyā gayā huuñ
mirā ālam-e-tīrgī tum na pūchho
maiñ jaltā diyā thā bujhāyā gayā huuñ
nahīñ yuuñ hī hotī hai āñkhoñ se bārish
maiñ dil huuñ kisī kā dukhāyā gayā huuñ
nazar mein zamana ki laya gaya hun
main sikka tha khoTa chalaya gaya hun
rahi pure din meri aankhon pe paTTi
magar raat-bhar main jagaya gaya hun
ye kaise kahun sath mujh ko bhi rakh le
main barson baras aazmaya gaya hun
mera aalam-e-tirgi tum na puchho
main jalta diya tha bujhaya gaya hun
nahin yun hi hoti hai aankhon se barish
main dil hun kisi ka dukhaya gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.