nazar mila ke zara dekh mat jhuka aankhen
nazar milā ke zarā dekh mat jhukā āñkheñ
baḌhā rahī haiñ nigāhoñ kā hausla āñkheñ
jo dil meñ aks hai āñkhoñ se bhī vo chhalkegā
dil ā.īna hai magar dil kā aa.inā āñkheñ
vo ik sitāra thā jaane kahāñ girā hogā
ḳhalā meñ DhūñD rahī haiñ na jaane kyā āñkheñ
ġham-e-hayāt ne fursat na dī Thaharne kī
pukārtī hī rahī haiñ mujhe sadā āñkheñ
ye us kā tarz-e-taḳhātub bhī ḳhuub hai 'mohsin'
rukā rukā sā tabassum ḳhafā ḳhafā āñkheñ
nazar mila ke zara dekh mat jhuka aankhen
baDha rahi hain nigahon ka hausla aankhen
jo dil mein aks hai aankhon se bhi wo chhalkega
dil aaina hai magar dil ka aaina aankhen
wo ek sitara tha jaane kahan gira hoga
KHala mein DhunD rahi hain na jaane kya aankhen
gham-e-hayat ne fursat na di Thaharne ki
pukarti hi rahi hain mujhe sada aankhen
ye us ka tarz-e-taKHatub bhi KHub hai 'mohsin'
ruka ruka sa tabassum KHafa KHafa aankhen
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 324)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.