nazar-navāz nazāroñ kī yaad aatī hai
shikasta dil ke sahāroñ kī yaad aatī hai
kabhī nigāh-e-mohabbat ne jis ko chheḌā thā
ab un rabāb ke tāroñ kī yaad aatī hai
nigāh paḌtī hai jab bhī kisī shagūfe par
tumhāre saath bahāroñ kī yaad aatī hai
jo mil ke chhūT ga.e zindagī kī rāhoñ meñ
ab un hasīn sahāroñ kī yaad aatī hai
machaltī ārzuoñ ke jilau meñ ai 'shaukat'
sulagtī rāh-guzāroñ kī yaad aatī hai
nazar-nawaz nazaron ki yaad aati hai
shikasta dil ke sahaaron ki yaad aati hai
kabhi nigah-e-mohabbat ne jis ko chheDa tha
ab un rabab ke taron ki yaad aati hai
nigah paDti hai jab bhi kisi shagufe par
tumhaare sath bahaaron ki yaad aati hai
jo mil ke chhuT gae zindagi ki rahon mein
ab un hasin sahaaron ki yaad aati hai
machalti aarzuon ke jilau mein ai 'shaukat'
sulagti rah-guzaron ki yaad aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.