nazar-navāz nazar kā ye zāviya kyoñ hai
numūd-e-aks pe hairān ā.īna kyoñ hai
zabāñ pe harf-e-anal-haq laraz rahā hai kyoñ
junūn-e-ishq tazabzub kā marhala kyoñ hai
vahī hai manzil-e-āḳhir jahāñ safar āġhāz
bañdhā huā mire qadmoñ se dā.era kyoñ hai
hayāt-o-maut kā maqsad agar nahīñ mālūm
shikast-o-reḳht kā be-kār silsila kyoñ hai
ye kis ne zahr milāyā hai jām-e-hastī meñ
ab aisā talḳh tanaffus kā zā.iqa kyoñ hai
nizām aap kā tanzīm aap kī jānāñ
to ab tamāsha-e-taftīsh-e-hādisa kyoñ hai
yahāñ to jiine ko darkār hausla hai bahut
dil-e-tabāh meñ baaqī ye hausla kyoñ hai
qadam qadam na hoñ sayyād kī bichhī āñkheñ
sajā sajā mirī manzil kā rāsta kyoñ hai
fazā-e-sher-o-suḳhan be-amāñ huī 'pinhāñ'
dayār-e-zāġh-o-zaġhan meñ ye fāḳhta kyoñ hai
nazar-nawaz nazar ka ye zawiya kyon hai
numud-e-aks pe hairan aaina kyon hai
zaban pe harf-e-anal-haq laraz raha hai kyon
junun-e-ishq tazabzub ka marhala kyon hai
wahi hai manzil-e-aKHir jahan safar aaghaz
bandha hua mere qadmon se daera kyon hai
hayat-o-maut ka maqsad agar nahin malum
shikast-o-reKHt ka be-kar silsila kyon hai
ye kis ne zahr milaya hai jam-e-hasti mein
ab aisa talKH tanaffus ka zaiqa kyon hai
nizam aap ka tanzim aap ki jaanan
to ab tamasha-e-taftish-e-hadisa kyon hai
yahan to jine ko darkar hausla hai bahut
dil-e-tabah mein baqi ye hausla kyon hai
qadam qadam na hon sayyaad ki bichhi aankhen
saja saja meri manzil ka rasta kyon hai
faza-e-sher-o-suKHan be-aman hui 'pinhan'
dayar-e-zagh-o-zaghan mein ye faKHta kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.