Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar-nawaz wo pahli si hastiyan na rahin

Shaukat Wasti

nazar-nawaz wo pahli si hastiyan na rahin

Shaukat Wasti

MORE BYShaukat Wasti

    nazar-navāz vo pahlī hastiyāñ na rahīñ

    ravā hamāre liye but-parastiyāñ na rahīñ

    fazā vo nahīñ dehāt aur shahroñ

    basā.ī thiiñ jo kabhī ab vo bastiyāñ na rahīñ

    tirī nigāh se piine aarzū thī

    phir us ke baa'd sharāboñ meñ mastiyāñ na rahīñ

    ye aur baat tirā dil na ho sakā shādāb

    vagarna āñkheñ mirī kab barastiyāñ na rahīñ

    vahī hai bhaav Take ser dukh manDī meñ

    agarche ḳhaak chīzeñ bhī sastiyāñ na rahīñ

    tamām ho ga.e saare samāj ke bandhan

    vo rakh-rakhāv gayā ghar-grihastiyāñ na rahīñ

    muvāzane hai saarā mu'āmla 'shaukat'

    bulandiyāñ na rahīñ jab to pastiyāñ na rahīñ

    nazar-nawaz wo pahli si hastiyan na rahin

    rawa hamare liye but-parastiyan na rahin

    faza hi wo nahin dehat aur shahron ki

    basai thin jo kabhi ab wo bastiyan na rahin

    teri nigah se pine ki aarzu ki thi

    phir us ke ba'd sharabon mein mastiyan na rahin

    ye aur baat tera dil na ho saka shadab

    wagarna aankhen meri kab barastiyan na rahin

    wahi hai bhaw Take ser dukh ki manDi mein

    agarche KHak si chizen bhi sastiyan na rahin

    tamam ho gae sare samaj ke bandhan

    wo rakh-rakhaw gaya ghar-grihastiyan na rahin

    muwazane ka hai sara mu'amla 'shaukat'

    bulandiyan na rahin jab to pastiyan na rahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now