nazar nazar hai nazar ain shin qaf nahin
nazar nazar hai nazar ain shiin qaaf nahīñ
milī hai mujh ko ḳhabar ain shiin qaaf nahīñ
ye ġhain miim to jiinā muhāl kar degā
barābarī meñ agar ain shiin qaaf nahīñ
ye likh ke kāTnā ḳhat meñ ab aap band kareñ
agar magar kā safar ain shiin qaaf nahīñ
udāsī aañsū adāvat nasīhateñ ranjish
baġhair phal kā shajar ain shiin qaaf nahīñ
tumhāre baad to kaT mar rahe haiñ aapas meñ
tumhāre baad idhar ain shiin qaaf nahīñ
udāsī dekh ke 'ashraf' kī rab ne farmāyā
maiñ dil banā.ūñgā par ain shiin qaaf nahīñ
nazar nazar hai nazar ain shin qaf nahin
mili hai mujh ko KHabar ain shin qaf nahin
ye ghain mim to jina muhaal kar dega
barabari mein agar ain shin qaf nahin
ye likh ke kaTna KHat mein ab aap band karen
agar magar ka safar ain shin qaf nahin
udasi aansu adawat nasihaten ranjish
baghair phal ka shajar ain shin qaf nahin
tumhaare baad to kaT mar rahe hain aapas mein
tumhaare baad idhar ain shin qaf nahin
udasi dekh ke 'ashraf' ki rab ne farmaya
main dil banaunga par ain shin qaf nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.