nazar nazar se mila kar janab kahte hain
nazar nazar se milā kar janāb kahte haiñ
nasha isī meñ hai is ko sharāb kahte haiñ
haiñ band hoñT magar muskurā rahe haiñ vo
zabān-e-‘ishq meñ is ko javāb kahte haiñ
har ek baat meñ un kā bhalā kiyā ham ne
isī liye to vo ham ko ḳharāb kahte haiñ
garebāñ chaak pareshān-hāl hai 'sāqī'
ye log phir bhī mujhe kyoñ navāb kahte haiñ
nazar nazar se mila kar janab kahte hain
nasha isi mein hai is ko sharab kahte hain
hain band honT magar muskura rahe hain wo
zaban-e-‘ishq mein is ko jawab kahte hain
har ek baat mein un ka bhala kiya hum ne
isi liye to wo hum ko KHarab kahte hain
gareban chaak pareshan-haal hai 'saqi'
ye log phir bhi mujhe kyon nawab kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.