nazar nazar se mila kar sharab pite hain
nazar nazar se milā kar sharāb piite haiñ
ham un ko paas baiThā kar sharāb piite haiñ
isī liye to añdherā hai mai-kade meñ bahut
yahāñ gharoñ ko jalā kar sharāb piite haiñ
hameñ tumhāre sivā kuchh nazar nahīñ aatā
tumheñ nazar meñ sajā kar sharāb piite haiñ
unhīñ ke hisse meñ aatī hai pyaas bhī aksar
jo dūsroñ ko pilā kar sharāb piite haiñ
nazar nazar se mila kar sharab pite hain
hum un ko pas baiTha kar sharab pite hain
isi liye to andhera hai mai-kade mein bahut
yahan gharon ko jala kar sharab pite hain
hamein tumhaare siwa kuchh nazar nahin aata
tumhein nazar mein saja kar sharab pite hain
unhin ke hisse mein aati hai pyas bhi aksar
jo dusron ko pila kar sharab pite hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.