nazar nazar se milai kyon thi nafas nafas mein samae kyon the
nazar nazar se milai kyon thi nafas nafas mein samae kyon the
Kaif Moradaabadi
MORE BYKaif Moradaabadi
nazar nazar se milā.ī kyoñ thī nafas nafas meñ samā.e kyoñ the
unheñ thā manzūr mujh se parda to sāmne mere aa.e kyoñ the
dayār-e-husn-e-vafā-talab kī taraf qadam hī uThā.e kyoñ the
junūñ ko ilzām dene vaale junūñ kī bātoñ meñ aa.e kyoñ the
isī ḳhatā kī sazā meñ ab tak nishān-e-manzil nahīñ milā hai
rah-e-mohabbat meñ avval avval mire qadam Dagmagā.e kyoñ the
vo āftāb-e-jamāl shāyad yahīñ kahīñ se guzar rahā hai
jahān-e-dil ke tamām zarre abhī abhī jagmagā.e kyoñ the
nafas nafas sad-ḳhalish bad-a.amāl qadam qadam par hazār tūfāñ
maiñ ab ye samjhā ki roz-e-avval vo dekh kar muskurā.e kyoñ the
unheñ jo ab 'kaif' se hai shikva ki nazm-e-ālam bigāḌ Daalā
vo aise dīvāne ko bhalā is ḳhirad kī duniyā meñ laa.e kyoñ the
nazar nazar se milai kyon thi nafas nafas mein samae kyon the
unhen tha manzur mujh se parda to samne mere aae kyon the
dayar-e-husn-e-wafa-talab ki taraf qadam hi uThae kyon the
junun ko ilzam dene wale junun ki baaton mein aae kyon the
isi KHata ki saza mein ab tak nishan-e-manzil nahin mila hai
rah-e-mohabbat mein awwal awwal mere qadam Dagmagae kyon the
wo aaftab-e-jamal shayad yahin kahin se guzar raha hai
jahan-e-dil ke tamam zarre abhi abhi jagmagae kyon the
nafas nafas sad-KHalish bad-amal qadam qadam par hazar tufan
main ab ye samjha ki roz-e-awwal wo dekh kar muskurae kyon the
unhen jo ab 'kaif' se hai shikwa ki nazm-e-alam bigaD Dala
wo aise diwane ko bhala is KHirad ki duniya mein lae kyon the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.