nazar ne kaam kiya dil ke tarjuman ki tarah
nazar ne kaam kiyā dil ke tarjumāñ kī tarah
nigāheñ kah ga.ī sab hāl-e-dil zabāñ kī tarah
kiye the be-ḳhudī-e-shauq meñ jahāñ sajde
vahī zamīñ nazar aatī hai āsmāñ kī tarah
nazar milī hai to pahchān jaa.e ahl-e-chaman
dikhā.ī dete haiñ gulchīñ bhī bāġhbāñ kī tarah
kitāb-e-zīst kā shīrāza-band koī nahīñ
bikhar ga.ī hai kisī nazm-e-bostān kī tarah
na barg-o-bār na shādābiyāñ na ġhuncha-o-gul
yahī bahār agar hai to hai ḳhizāñ kī tarah
tumhāre shahr meñ muddat se ye tamannā hai
dikhā.ī de koī be-mehr mehrbāñ kī tarah
ḳhudā-gavāh ki ik umr kā asāsa hai
na kyuuñ aziiz rakhūñ ilm-o-fan ko jaañ kī tarah
kise batā.eñ ki the ham bhī ham-nashīñ ai 'saif'
vo 'tāj' bhuul ga.e yād-e-raftagāñ kī tarah
nazar ne kaam kiya dil ke tarjuman ki tarah
nigahen kah gai sab haal-e-dil zaban ki tarah
kiye the be-KHudi-e-shauq mein jahan sajde
wahi zamin nazar aati hai aasman ki tarah
nazar mili hai to pahchan jae ahl-e-chaman
dikhai dete hain gulchin bhi baghban ki tarah
kitab-e-zist ka shiraaza-band koi nahin
bikhar gai hai kisi nazm-e-bostan ki tarah
na barg-o-bar na shadabiyan na ghuncha-o-gul
yahi bahaar agar hai to hai KHizan ki tarah
tumhaare shahr mein muddat se ye tamanna hai
dikhai de koi be-mehr mehrban ki tarah
KHuda-gawah ki ek umr ka asasa hai
na kyun aziz rakhun ilm-o-fan ko jaan ki tarah
kise bataen ki the hum bhi ham-nashin ai 'saif'
wo 'taj' bhul gae yaad-e-raftagan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.