nazar paD jae patthar par to ho barq-o-sharar paida
nazar paD jae patthar par to ho barq-o-sharar paida
Abdul Majeed Manzar Murtajapuri
MORE BYAbdul Majeed Manzar Murtajapuri
nazar paḌ jaa.e patthar par to ho barq-o-sharar paidā
magar hotā hai mushkil se bashar meñ ye hunar paidā
nahīñ bantā hai to kirdār-e-insānī nahīñ bantā
vagarna yuuñ to kar lete haiñ sab hī māl-o-zar paidā
badal de jo zamāne ke nizām-e-past-o-bātil ko
to sadiyoñ baad hotā hai koī aisā bashar paidā
zamīñ par kaam haiñ lākhoñ falak par DhūñDte kyā ho
tum is tārīk duniyā meñ karo koī qamar paidā
kahāñ miltā hai har ik ko miyāñ vo be-bahā 'manzar'
baḌī mushkil se hotā hai samundar meñ guhar paidā
nazar paD jae patthar par to ho barq-o-sharar paida
magar hota hai mushkil se bashar mein ye hunar paida
nahin banta hai to kirdar-e-insani nahin banta
wagarna yun to kar lete hain sab hi mal-o-zar paida
badal de jo zamane ke nizam-e-past-o-baatil ko
to sadiyon baad hota hai koi aisa bashar paida
zamin par kaam hain lakhon falak par DhunDte kya ho
tum is tarik duniya mein karo koi qamar paida
kahan milta hai har ek ko miyan wo be-baha 'manzar'
baDi mushkil se hota hai samundar mein guhar paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.