nazar pukar rahi hai tumhi chale aao
nazar pukār rahī hai tumhī chale aao
mirī hayāt mirī zindagī chale aao
ye suunā suunā sā āñgan pukārtā hai tumheñ
bahut ghanerī hai ye tīrgī chale aao
ġhurūr-e-zulmat-e-shab tum hī toḌ sakte ho
banūñ charāġh kī tum raushnī chale aao
ye hoñT suukh na jaa.eñ tumheñ sadā de kar
bichhaḌ na jaa.e kahīñ har ḳhushī chale aao
in āshnāoñ meñ nā-āshnā haiñ log tamām
kahāñ chhupe ho mire ajnabī chale aao
tumhārā saath nibhā.egī 'shāhida' har-dam
karoge tum hī mirī rahbarī chale aao
nazar pukar rahi hai tumhi chale aao
meri hayat meri zindagi chale aao
ye suna suna sa aangan pukarta hai tumhein
bahut ghaneri hai ye tirgi chale aao
ghurur-e-zulmat-e-shab tum hi toD sakte ho
banun charagh ki tum raushni chale aao
ye honT sukh na jaen tumhein sada de kar
bichhaD na jae kahin har KHushi chale aao
in aashnaon mein na-ashna hain log tamam
kahan chhupe ho mere ajnabi chale aao
tumhaara sath nibhaegi 'shahida' har-dam
karoge tum hi meri rahbari chale aao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.