nazar sarshaar uski
nazar sarshār us kī
fazā bedār us kī
bahut bāteñ sunī haiñ
sar-e-bāzār us kī
kahāñ kaTtā mirā sar
magar talvār us kī
maiñ chhoTā sā nagīna
baḌī bāzār us kī
havā us kā takallum
shafaq dastār us kī
sunī hai maiñ ne aahaT
hazāroñ baar us kī
kahānī kah rahī hai
nigāh-e-yār us kī
nazar aa.ī vo sūrat
girī dīvār us kī
fazā ik shabnamī sī
badan ke paar us kī
yahāñ kyā maiñ nahīñ huuñ
ye sab paikār us kī
ajab hamd-o-sanā hai
suḳhan ke paar us kī
dikhā de koī 'ajmal'
jhalak ik baar us kī
nazar sarshaar us ki
faza bedar us ki
bahut baaten suni hain
sar-e-bazar us ki
kahan kaTta mera sar
magar talwar us ki
main chhoTa sa nagina
baDi bazar us ki
hawa us ka takallum
shafaq dastar us ki
suni hai main ne aahaT
hazaron bar us ki
kahani kah rahi hai
nigah-e-yar us ki
nazar aai wo surat
giri diwar us ki
faza ek shabnami si
badan ke par us ki
yahan kya main nahin hun
ye sab paikar us ki
ajab hamd-o-sana hai
suKHan ke par us ki
dikha de koi 'ajmal'
jhalak ek bar us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.