nazar se chhup gae dil se juda to hona tha
nazar se chhup gae dil se juda to hona tha
Nawab Moazzam Jah Shaji
MORE BYNawab Moazzam Jah Shaji
nazar se chhup ga.e dil se judā to honā thā
is ehtimām se tum ko ḳhafā to honā thā
vafā ḳhud apne muqābil huī mohabbat meñ
tire sitam kī koī intihā to honā thā
kahāñ pahuñch ke ruke aap bevafā.ī se
lihāz merī vafā kā zarā to honā thā
sañvar ke aa.ina dekhā to hañs ke farmāyā
vo sāmne haiñ magar sāmnā to honā thā
agar idhar se vo guzre haiñ be-ḳhayālī meñ
qarīb-e-dil koī āvāz-e-pā to honā thā
vo le ga.e haiñ agar bū-e-gul ko saath 'shajī.a'
kam-az-kam aaj chaman meñ sabā to honā thā
nazar se chhup gae dil se juda to hona tha
is ehtimam se tum ko KHafa to hona tha
wafa KHud apne muqabil hui mohabbat mein
tere sitam ki koi intiha to hona tha
kahan pahunch ke ruke aap bewafai se
lihaz meri wafa ka zara to hona tha
sanwar ke aaina dekha to hans ke farmaya
wo samne hain magar samna to hona tha
agar idhar se wo guzre hain be-KHayali mein
qarib-e-dil koi aawaz-e-pa to hona tha
wo le gae hain agar bu-e-gul ko sath 'shajia'
kam-az-kam aaj chaman mein saba to hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.