nazar se dur hote ja rahe hain
nazar se duur hote jā rahe haiñ
sarāpā nuur hote jā rahe haiñ
jinheñ badnām karnā chāhte ho
vahī mash.hūr hote jā rahe haiñ
ham āġhāz-e-safar se pahle hī kyuuñ
thakan se chuur hote jā rahe haiñ
baḌhī hai raushnī tahzīb-e-nau kī
makāñ be-nūr hote jā rahe haiñ
har ik apnā janāza Dho rahā hai
sabhī mazdūr hote jā rahe haiñ
khile the phuul zaḳhmoñ ke jo ik din
vo ab nāsūr hote jā rahe haiñ
nazar se dur hote ja rahe hain
sarapa nur hote ja rahe hain
jinhen badnam karna chahte ho
wahi mashhur hote ja rahe hain
hum aaghaz-e-safar se pahle hi kyun
thakan se chur hote ja rahe hain
baDhi hai raushni tahzib-e-nau ki
makan be-nur hote ja rahe hain
har ek apna janaza Dho raha hai
sabhi mazdur hote ja rahe hain
khile the phul zaKHmon ke jo ek din
wo ab nasur hote ja rahe hain
- Book : Neend Shart Nahin (Pg. 80)
- Author : Khawaja Jawed Akhtar
- Publication : Shabkhoon Kitabghar Allahabad (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.