nazar se dur rahe mujhko aazmae bhi
nazar se duur rahe mujh ko āzmā.e bhī
agar vo vaqt nahīñ hai to lauT aa.e bhī
hai ābshār to ehsās ko kare sairāb
vo pyaas hai to mirī tishnagī baḌhā.e bhī
vo mauj hai to mujhe ġharq bhī zarūr kare
hai nāḳhudā to bhañvar se nikāl laa.e bhī
vo ḳhvāb hai to kare bas qayām āñkhoñ meñ
agar hai ḳhauf to nīñdeñ mirī uḌaa.e bhī
vo mas.ala hai to merī jabīñ pe raushan ho
vo koī hal hai to dil ko qarār aa.e bhī
nazar-shanās na ho to mujhe bhī taḌpā.e
vo dil-navāz agar hai to maan jaa.e bhī
agar vo aur koī hai to koī baat nahīñ
hai zindagī to añdheroñ meñ gungunā.e bhī
nazar se dur rahe mujh ko aazmae bhi
agar wo waqt nahin hai to lauT aae bhi
hai aabshaar to ehsas ko kare sairab
wo pyas hai to meri tishnagi baDhae bhi
wo mauj hai to mujhe gharq bhi zarur kare
hai naKHuda to bhanwar se nikal lae bhi
wo KHwab hai to kare bas qayam aankhon mein
agar hai KHauf to ninden meri uDae bhi
wo masala hai to meri jabin pe raushan ho
wo koi hal hai to dil ko qarar aae bhi
nazar-shanas na ho to mujhe bhi taDpae
wo dil-nawaz agar hai to man jae bhi
agar wo aur koi hai to koi baat nahin
hai zindagi to andheron mein gungunae bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.