nazar se dur ufuq se pare uDan mein the
nazar se duur ufuq se pare uḌaan meñ the
ḳhudā hī jaane ki vo log kis jahān meñ the
falak kī samt uThā.e hue nigāheñ log
judā judā kisī ma.abūd ke gumān meñ the
samajhne vaale samajhte haiñ is haqīqat ko
sahīfe jitne bhī utre hamārī shaan meñ the
ye rañg rañg manāzir ye rañg rañg ke log
tamām raat kisī ḳhvāb ke makān meñ the
bas apne aap ko paayā to kāmyāb hue
magar batā nahīñ sakte kis imtihān meñ the
nazar se dur ufuq se pare uDan mein the
KHuda hi jaane ki wo log kis jahan mein the
falak ki samt uThae hue nigahen log
juda juda kisi mabud ke guman mein the
samajhne wale samajhte hain is haqiqat ko
sahife jitne bhi utre hamari shan mein the
ye rang rang manazir ye rang rang ke log
tamam raat kisi KHwab ke makan mein the
bas apne aap ko paya to kaamyab hue
magar bata nahin sakte kis imtihan mein the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.