nazar se ho ke wo dil mein utarna chahta hai
nazar se ho ke vo dil meñ utarnā chāhtā hai
phir is ke ba.ad lahū meñ bikharnā chāhtā hai
ḳhabar karo ye siyah-rāt ke asīroñ ko
sahar qarīb hai sūraj ubharnā chāhtā hai
jo raushnī-o-mohabbat kā isti.āra hai
usī parind ke vo par katarnā chāhtā hai
nigār-ḳhāne se kahiye zarā sañbhal ke rahe
vo aa.ine ke muqābil sañvarnā chāhtā hai
zamīñ se kaT ke ḳhalā meñ rahā jo mahv-e-safar
vahī sitāra zamīñ par utarnā chāhtā hai
ḳhabar milī hai mujhe sakinān-e-sahrā se
vo āhū-chashm idhar se guzarnā chāhtā hai
ḳhabar bhī hai ki tumhārā 'niyāz' sho.ala-navā
hudūd-e-jism se bāhar bikharnā chāhtā hai
nazar se ho ke wo dil mein utarna chahta hai
phir is ke baad lahu mein bikharna chahta hai
KHabar karo ye siyah-raat ke asiron ko
sahar qarib hai suraj ubharna chahta hai
jo raushni-o-mohabbat ka istiara hai
usi parind ke wo par katarna chahta hai
nigar-KHane se kahiye zara sanbhal ke rahe
wo aaine ke muqabil sanwarna chahta hai
zamin se kaT ke KHala mein raha jo mahw-e-safar
wahi sitara zamin par utarna chahta hai
KHabar mili hai mujhe sakinan-e-sahra se
wo aahu-chashm idhar se guzarna chahta hai
KHabar bhi hai ki tumhaara 'niyaz' shoala-nawa
hudud-e-jism se bahar bikharna chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.