nazar to aas ki ab ahl-e-asman pe hai
nazar to aas kī ab ahl-e-āsmān pe hai
du'ā kā tiir 'abas ajr kī kamān pe hai
zamīñ nasīb kahāñ duur ke safar se use
vo ek dhuup kā TukḌā jo sā.ebān pe hai
jise jatan se rakkhā dil hī dil meñ vaqt-e-junūñ
vo raaz shahr meñ har ek kī zabān pe hai
tamām shauq dhare ke dhare na rah jaa.eñ
junūñ ke shahr meñ aafat hamārī jaan pe hai
safar meñ chain kahāñ daur-e-ābla-pā.ī
jo haal uThān pe thā ab vahī Dhalān pe hai
shikār meñ haiñ yahāñ ek dūsre ke sabhī
kabhī zamīñ pe kabhī aadmī machān pe hai
koī to kaaT batā mujh ko tū mire maazī
ki ab ke vaar tirī aan baan shaan pe hai
vo shāḳh-e-zīst pe 'bebāk' lauTtā hī nahīñ
parind dil kā jo ab 'arsh kī uḌaan pe hai
nazar to aas ki ab ahl-e-asman pe hai
du'a ka tir 'abas ajr ki kaman pe hai
zamin nasib kahan dur ke safar se use
wo ek dhup ka TukDa jo saeban pe hai
jise jatan se rakkha dil hi dil mein waqt-e-junun
wo raaz shahr mein har ek ki zaban pe hai
tamam shauq dhare ke dhare na rah jaen
junun ke shahr mein aafat hamari jaan pe hai
safar mein chain kahan daur-e-abla-pai
jo haal uThan pe tha ab wahi Dhalan pe hai
shikar mein hain yahan ek dusre ke sabhi
kabhi zamin pe kabhi aadmi machan pe hai
koi to kaT bata mujh ko tu mere mazi
ki ab ke war teri aan ban shan pe hai
wo shaKH-e-zist pe 'bebak' lauTta hi nahin
parind dil ka jo ab 'arsh ki uDan pe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.