nazar to aate hain lekin nishan nahin rakhte
nazar to aate haiñ lekin nishāñ nahīñ rakhte
makān rakhte hue bhī makāñ nahīñ rakhte
tamām hukm unhī kā unhī ke saare suḳhan
zabāñ unhī kī magar vo zabāñ nahīñ rakhte
hidāyatoñ kī kahānī sharī'atoñ kā nizām
ġhalat ki haath meñ nazm-e-jahāñ nahīñ rakhte
ḳhabar karo to sahī 'aql ke marīzoñ ko
davā vo dete haiñ lekin dukāñ nahīñ rakhte
hue jo un ke to ye martaba bhī haath aayā
zamīñ pe rah ke bhī ham āsmāñ nahīñ rakhte
'ra.īs' jabr ke qaa.il haiñ iḳhtiyār ke saath
jahāz rakhte haiñ aur bādbāñ nahīñ rakhte
nazar to aate hain lekin nishan nahin rakhte
makan rakhte hue bhi makan nahin rakhte
tamam hukm unhi ka unhi ke sare suKHan
zaban unhi ki magar wo zaban nahin rakhte
hidayaton ki kahani shari'aton ka nizam
ghalat ki hath mein nazm-e-jahan nahin rakhte
KHabar karo to sahi 'aql ke marizon ko
dawa wo dete hain lekin dukan nahin rakhte
hue jo un ke to ye martaba bhi hath aaya
zamin pe rah ke bhi hum aasman nahin rakhte
'rais' jabr ke qail hain iKHtiyar ke sath
jahaz rakhte hain aur baadban nahin rakhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.