nazar to aaya magar ja-ba-ja nahin aaya
nazar to aaya magar jā-ba-jā nahīñ aaya
zamīñ pe aadmī jaisā ḳhudā nahīñ aaya
bahāv laayā hai us ko kināre kī jānib
vo shaḳhs merī taraf tairtā nahīñ aaya
ik aur baar bichhaḌ kar na dekh leñ donoñ
ye zaḳhm ab bhī hameñ ek sā nahīñ aaya
hazār koshisheñ kar liiñ zamāne bhar ne magar
mirī nazar se use dekhnā nahīñ aaya
hamārā haq hī nahīñ hai ki ab duhā.ī deñ
ga.e huoñ ko agar roknā nahīñ aaya
barābarī kā tasavvur nahīñ hamārī taraf
hamāre jaisā koī dūsrā nahīñ aaya
nazar to aaya magar ja-ba-ja nahin aaya
zamin pe aadmi jaisa KHuda nahin aaya
bahaw laya hai us ko kinare ki jaanib
wo shaKHs meri taraf tairta nahin aaya
ek aur bar bichhaD kar na dekh len donon
ye zaKHm ab bhi hamein ek sa nahin aaya
hazar koshishen kar lin zamane bhar ne magar
meri nazar se use dekhna nahin aaya
hamara haq hi nahin hai ki ab duhai den
gae huon ko agar rokna nahin aaya
barabari ka tasawwur nahin hamari taraf
hamare jaisa koi dusra nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.