nazar tum par paDe to muskurana bhul jate hain
nazar tum par paḌe to muskurānā bhuul jaate haiñ
ham apnī dāstān-e-ġham sunānā bhuul jaate haiñ
hamesha sochte haiñ ham use khonā nahīñ mushkil
ham apnī quvvat-e-dil āzmānā bhuul jaate haiñ
jahāñ saaqī kā lamhe bhar ko bhī dīdār ho jaa.e
junūn-e-tishnagī kā vo zamāna bhuul jaate haiñ
ye zanjīreñ ye pābandī nahīñ kuchh fā.eda detīñ
parinde qaid hoñ to chahchahānā bhuul jaate haiñ
ubharte chāñd kā manzar yā jalve hoñ bahāroñ ke
tire aage sab apnā qahr Dhānā bhuul jaate haiñ
ġham-e-barbādī-e-gulshan se gul bhī is qadar sahme
dukhī chehre pe ik muskāñ sajānā bhuul jaate haiñ
bulandī se girāne ke liye koshāñ haiñ jo 'māham'
falak terā azal se āshiyāna bhuul jaate haiñ
nazar tum par paDe to muskurana bhul jate hain
hum apni dastan-e-gham sunana bhul jate hain
hamesha sochte hain hum use khona nahin mushkil
hum apni quwwat-e-dil aazmana bhul jate hain
jahan saqi ka lamhe bhar ko bhi didar ho jae
junun-e-tishnagi ka wo zamana bhul jate hain
ye zanjiren ye pabandi nahin kuchh faeda detin
parinde qaid hon to chahchahana bhul jate hain
ubharte chand ka manzar ya jalwe hon bahaaron ke
tere aage sab apna qahr Dhana bhul jate hain
gham-e-barbaadi-e-gulshan se gul bhi is qadar sahme
dukhi chehre pe ek muskan sajaana bhul jate hain
bulandi se girane ke liye koshan hain jo 'maham'
falak tera azal se aashiyana bhul jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.